✒Chapter- 7 " WAZU ME MAKRUHAAT "
______________________________________
Qaydah- Lafz Makrooh Jab Mutlaq Bola Jaye To Usse Makroohe Tehrimi Murad Hota Hai.
Aur Makroohe Tehrimi Wo Hai Jiska Karne Wala Gunahgar Hota Hai Magar Iska Gunah Haram Se Kam Hai.
Aur Musalsal Ise Karna Gunahe Kabira (Bada Gunah) Hai.
Aur 1 Makrooh Hai Tanzihi Jiske Karne Par Gunah To Nahi Hoga Magar Karna Achcha Nahi Aur Lagatar Kiya To Baherhaal Gunahgar Hoga.
Wazu Me Kuch Baten Makrooh Hai Hame Isse Bachna Chahiye~
★ Aurat Ke Gusl Ya Wazu Ke Bache Huye Pani Se Wazu Karna.
★ Wazu Ke Liye Napak Jagah Baithna Ya Napak Jagah Wazu Ka Pani Girana Ya Masjid Ke Andar Wazu Karna.
★ Lote Me Wazu Ke Qatre Tapkana Ya Reenth Khankhar Dalna, Qibla Rukh Thookna Ya Kulli Karna, Bila Zaroorat Dunya Ki Baten Karna Ya Ziyadah Pani Kharch Karna, Ya Itna Kam Pani
Kharch Karna Ki Sunnat Ada Na Ho, Zor Se Muh Pe Pani Marna.
★ 1 Hath Se Muh Dhona. Gale Ka Masah Karna, Ulte Hath Se Nak Me Pani Dalna, Ya Kulli Karna, Sidhe Hath Se Nak Saaf Karna, Apne Liye Wazu Ka Nal Ya Lauta Khas Karna, 3 Bar New Pani Se Sar Ka 3 Bar Masah Karna, Dhoop Ke Garm Pani Se Wazu Karna, Muh Dhulte Waqt Hont Aur Ankho Ka Zor Se Band Karna Aur Agar Kuch Sukha Reh Gaya To Wazu Hi Na Hoga.
📜 {Bahare-E-Shariat Hissa-2, Page-301}
--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI
🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html