Chapter- 6 " WAZU KI TAFSILAAT "
______________________________________


1=>  Muh Dhona.
2=>  Kohniyon Samet Hath Dhona.
3=>  Sar Ka Masah Karna.
4=>  Takhno Samet Paon Dhona.

Badan Ke Jis Hisse Ka Wazu Me Dhona Farz Hai Us Pe Kam Az Kam 2 Boond Pani Bah Jaye.

Bheeg Jane Ya Tel (Oil) Ki Tarah Chapad Lene Se Ya 1 Aadh Boondh Bah Jane Ko Dhona Nahi Kahege Na Usse Wazu Ya Gusl Pura Hoga.

📜 {FATAWA RAZVIYAH, BABUL WAZU, Volume-1, Page-218}


️Mas'ala:

Hath Me Challe Aur Anguthiyan Dhage Ya Kangan Ho To Unke Niche Pani Bahana Farz Hai Agar
Hila Kar Pani Paohche To Theek Warna Utar Kar Pani Bahana Farz Hai.

📜 {Fatawa Razviyah, Jild-1, Page-216}


Yad Rakhiye Jism Ka Jo Hissa Wazu Me Dhona Farz Hai Usme Khoob Mubalega Aur Ahtiyat Se Dhona Pani Paohchana Chahiye Taki Wazu Mukammal Ada Ho.

Ab Wazu Ki Sunnaten Padhe Aur Puri Koshish Kijiye Ke Sunnat Ke Mutabiq Wazu Ada Ho Taki Sawab Pura Pura Mile..............

--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI

🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html