Chapter- 6 " WAZU KI TAFSILAAT "
______________________________________


✳️ Ab Wazu Ki Sunnaten Padhe Aur Puri Koshish Kijiye Ke Sunnat Ke Mutabiq Wazu Ada Ho Taki Sawab Pura Pura Mile.


Sunnat:

Wazu Ki IBTEDA Bismillahi Se Kare.


Sunnat:

Pehle 3 Baar Hath Gatthon Tak Dhoye.


Sunnat:

Kam Se Kam 3-3 Martaba Danton Me Dayen Bayen Upar Niche Miswak Kare.

Aur Har Martaba Miswak Ko Dho Le.

Aur Miswak Na Bahot Marm Ho Na Bahot Sakht.

Miswak Peelu Ya Zaitoon Ya Neem Ki Kadwi Lakdi Ka Ho.

Miswak Ki Size Choti Ungli Ke Barbar Moti Aur 1 Balisht Lambi Ho Isse Zaiyadah Lambi Na Ho.

Chunki Hadees Me Allah Ke Pyare Mahboob Sal'lallahu Alaihi Wasallam Ka Ye Irshad Maujood Hai~

2 Rakat Namaz Jo Miswak Kar Ke Padhi Gai Be Miswak Ki 70 Rakaton Se Afzal Hai.

{At Targeeb War Tarheeb, Jild-1, Page-102, Hadees No-18}

Afsos Ki Aaj Hum Se Miswak Ka Riwaj Uthta Ja Raha Hai.


Sunnat:

Agar Miswak Na Ho To Ungli Se Dant Manjhe, Agar Dant Na Ho To Ungli Ya Kapda Masudon Me
Pher Le.


Sunnat:

Phir 3 Chullu Pani Se 3 Kulliyan Kare Aise Ke Muh Ke Har Hisse Me Pani Jaye.
Roza Na Ho To Gar Garah Kare.


Sunnat:

Phir 3 Chullu Nak Me Pani Dale.
Jahan Narm Haddi Hai.
Pani Sidhe Hath Se Dale Nak Ulte Hath Se Saf Kare.


Sunnat:

Muh Dhote Waqt Dadhi Ka Khilal Kare.


Sunnat:

Hath Paon Ki Ungliyon Ka Khilal Kare.
Paon Ki Ungliyon Ka Khilal Is Tarah Kare Ki Pehle Sidhe Paon Ki Sab Se Choti Ungli Se Shuru Kare Aur Anguthe Par Khatm Kare.
Phir Ulte Paon Me Anguthe Se Shuru Kar Ke Choti Ungli Pe Khatm Kare.


Sunnat:

Jo Aaza Dhone Ke Hain (Hath, Paon, Muh, Pair) Unhe 3-3 Baar Dhoye Har Martaba Is Tarah Dhoye Ki Koi Hissa Na Reh Jaye Warna Sunnat Ada Na Hogi.

--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI

🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html